ab meri maut ka samaan nazar aaya hai | अब मेरी मौत का सामान नज़र आया है

  - Khalid Azad

ab meri maut ka samaan nazar aaya hai
dil jo aabaad tha veeraan nazar aaya hai

ek muddat se mere saath tha ban ke hamdam
aaj kyun gham mera anjaan nazar aaya hai

jab vo bichhda to dua de ke gaya khush rahna
aaj khush dekh pareshaan nazar aaya hai

lautna ishq ke raaste se nahin tha aasaan
phir bhi ik qaafila rindaan nazar aaya hai

raat tanhaai mein firta hi raha aawaara
aankh khulne pe ye zindaan nazar aaya hai

अब मेरी मौत का सामान नज़र आया है
दिल जो आबाद था वीरान नज़र आया है

एक मुद्दत से मेरे साथ था बन के हमदम
आज क्यों ग़म मेरा अंजान नज़र आया है

जब वो बिछड़ा तो दुआ दे के गया ख़ुश रहना
आज ख़ुश देख, परेशान नज़र आया है

लौटना इश्क़ के रस्ते से नहीं था आसाँ
फिर भी इक क़ाफ़िला रिंदान नज़र आया है

रात तन्हाई में फिरता ही रहा आवारा
आँख खुलने पे ये ज़िंदान नज़र आया है

  - Khalid Azad

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Khalid Azad

As you were reading Shayari by Khalid Azad

Similar Writers

our suggestion based on Khalid Azad

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari