gham ko jab aawaaz banaya
dhadkan ko phir saaz banaya
kuchh baatein dil kii kah daali
kuchh baaton ko raaz banaya
bhatka musaafir raston par jab
raston ko dam-saaz banaya
kahte kis se qisse saare
khud ko hi hamraaz banaya
kaate par jab usne apne
koshish ko afraaz banaya
ग़म को जब आवाज़ बनाया
धड़कन को फिर साज़ बनाया
कुछ बातें दिल की कह डाली
कुछ बातों को राज़ बनाया
भटका मुसाफ़िर रस्तों पर जब
रस्तों को दम-साज़ बनाया
कहते किस से क़िस्से सारे
ख़ुद को ही हमराज़ बनाया
काटे पर जब उसने अपने
कोशिश को अफ़राज़ बनाया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rohan Hamirpuriya
our suggestion based on Rohan Hamirpuriya
As you were reading Naqab Shayari Shayari