ik mere bulane se sar-e-baam na aati
tareeqib milan kii kisi bhi kaam na aati
jisne na kasar baaki nibhaane mein ho rakhi
hisse wafa un aashiqon ke naam na aati
bandish yahi vaada vo nibhaane mein musalsal
hai aarzoo milne kii magar shaam na aati
naarazgi mein raaz bata dale wagarana
sohbat kii nihaan baat sar-e-aam na aati
rutba to hamaara bhi koii kam nahin warna
dooje ke kahe se to vo do gaam na aati
इक मेरे बुलाने से सर-ए-बाम न आती
तरक़ीब मिलन की किसी भी काम न आती
जिसने न कसर बाक़ी निभाने में हो रक्खी
हिस्से वफ़ा उन आशिक़ों के नाम न आती
बंदिश यही वादा वो निभाने में मुसलसल
है आरज़ू मिलने की मगर शाम न आती
नाराज़गी में राज़ बता डाले वगरना
सोहबत की निहाँ बात सर-ए-आम न आती
रुतबा तो हमारा भी कोई कम नहीं वर्ना
दूजे के कहे से तो वो दो गाम न आती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rohan Hamirpuriya
our suggestion based on Rohan Hamirpuriya
As you were reading Tamanna Shayari Shayari