yaad aankhon ko ghatta karti rahi
raat din be-sabr sa karti rahi
kaam kya jaane dava karti rahi
par asar to bas dua karti rahi
in diyon ka mas'ala jab bhi utha
faisla inka hawa karti rahi
ro pada hai aasmaan phir aaj kyun
baat kya isse dhara karti rahi
jism to ye so gaya tha raat mein
raat bhar ye rooh kya karti rahi
kat rahe hain ped daulat ke liye
shaakh ye phir bhi bhala karti rahi
याद आँखों को घटा करती रही
रात दिन बे-सब्र सा करती रही
काम क्या जाने दवा करती रही
पर असर तो बस दुआ करती रही
इन दियों का मस'अला जब भी उठा
फ़ैसला इनका हवा करती रही
रो पड़ा है आसमाँ फिर आज क्यों
बात क्या इससे धरा करती रही
जिस्म तो ये सो गया था रात में
रात भर ये रूह क्या करती रही
कट रहे हैं पेड़ दौलत के लिए
शाख़ ये फिर भी भला करती रही
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Divya 'Kumar Sahab'
our suggestion based on Divya 'Kumar Sahab'
As you were reading Justice Shayari Shayari