kya hua raaste mein mushkil sar-b-sar hai
bas hamaari jaanib-e-manzil nazar hai
vo parinda to kabhi ud hi na paaya
jo samajhta hai ki bas mahfooz ghar hai
der tak thehra nahin karta kahi bhi
jis musaafir ka miyaan lamba safar hai
log kahte hain hamaare baare mein kya
bante ham anjaan hain lekin khabar hai
kya zaroorat phir kisi hujre ki hamko
jab zameen aur aasmaan hi baam-o-dar hai
dost kya dushman bhi kya mere khuda dekh
meri ruksat se zamaana chashm-e-tar hai
क्या हुआ रस्ते में मुश्किल सर-ब-सर है
बस हमारी जानिब-ए-मंज़िल नज़र है
वो परिंदा तो कभी उड़ ही न पाया
जो समझता है कि बस महफ़ूज़ घर है
देर तक ठहरा नहीं करता कहीं भी
जिस मुसाफ़िर का मियाँ लंबा सफ़र है
लोग कहते हैं हमारे बारे में क्या
बनते हम अंजान हैं लेकिन ख़बर है
क्या ज़रूरत फिर किसी हुजरे की हमको
जब ज़मीं और आसमाँ ही बाम-ओ-दर है
दोस्त क्या दुश्मन भी क्या मेरे ख़ुदा देख
मेरी रुख़्सत से ज़माना चश्म-ए-तर है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by M R CHAUHAN
our suggestion based on M R CHAUHAN
As you were reading Raasta Shayari Shayari