aaina hamein khud ka jab chehra dikhaata hai
har baar hamein khud ki nazaron mein girata hai
munh fer ke nikle the kya soch ke jaayen ab
kis munh se kahe aakhir ghar yaad vo aata hai
ham chhod watan apna pardes mein baithe hain
har roz watan hamko awaaz lagata hai
khaamosh zubaan meri tab shor machaati hai
jab dost nazar koi is shehar mein aata hai
dil bhool ja vo baatein baatein jo puraani hain
kyun ashk-e-nadaamat se aankhon ko bhigaata hai
आईना हमें ख़ुद का जब चेहरा दिखाता है
हर बार हमें ख़ुद की नज़रों में गिराता है
मुँह फेर के निकले थे क्या सोच के जाएँ अब
किस मुँह से कहे आख़िर, घर याद वो आता है
हम छोड़ वतन अपना परदेस में बैठे हैं
हर रोज़ वतन हमको आवाज़ लगाता है
ख़ामोश ज़ुबाँ मेरी तब शोर मचाती है
जब दोस्त नज़र कोई इस शहर में आता है
दिल भूल जा वो बातें, बातें जो पुरानी हैं
क्यों अश्क-ए-नदामत से आँखों को भिगाता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by M R CHAUHAN
our suggestion based on M R CHAUHAN
As you were reading Bekhabri Shayari Shayari