phir maar deti teer mujhko | फिर मार देती तीर मुझको

  - Manoj Devdutt

phir maar deti teer mujhko
karna tha jab nakeer mujhko

maa baap saath rah rahe hain
phir rahne do faqeer mujhko

sab ek hon jahaan mein aisi
hai kheenchani lakeer mujhko

peetal sahi bana rahoon bas
hona nahin nazeer mujhko

insaan hi bana rahoon ab
hona nahin kabeer mujhko

sab kaam hon manoj ke bas
hona nahin wazeer mujhko

फिर मार देती तीर मुझको
करना था जब नकीर मुझको

माँ बाप साथ रह रहे हैं
फिर रहने दो फ़क़ीर मुझको

सब एक हों जहाँ में ऐसी
है खींचनी लकीर मुझको

पीतल सही बना रहूँ बस
होना नहीं नज़ीर मुझको

इंसान ही बना रहूँ अब
होना नहीं कबीर मुझको

सब काम हों मनोज के बस
होना नहीं वज़ीर मुझको

  - Manoj Devdutt

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manoj Devdutt

As you were reading Shayari by Manoj Devdutt

Similar Writers

our suggestion based on Manoj Devdutt

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari