nahin maaloom hai mujhko main kaise sher kehta hoon
magar sab log kahte hain main achhe sher kehta hoon
main pehle matla kehta hoon phir aage sher kehta hoon
mera dil chahta hai jitne utne sher kehta hoon
koi bhi ho kahi bhi ho main jisko dhoondhta hoon vo
mujhe mil jaayega ik din so aise sher kehta hoon
kai logon ki mujhse ye shikaayat hai ki main unse
kabhi jo poochta hoon haal pehle sher kehta hoon
bahut achha nahin hoon main bas ik ye mujhmein khaami hai
bura jo mujhko kahte hain main unpe sher kehta hoon
mujhe koi gila nain tum se dhaan dhaan maarte ho tum
tumhein phir kya gila mujhse agarche sher kehta hoon
bataate ho sabhi ke saamne kyun tanziya shayar
na tum par tanj kasta hoon na tum pe sher kehta hoon
mujhe bhi shauq tha misron mein apni baat kehne ka
hunar aaya hai jab se ye main tab se sher kehta hoon
kai logon ko main yun bhi pasand aata nahin hoon kyunki
main sacche sher kehta hoon main kadve sher kehta hoon
नहीं मालूम है मुझको मैं कैसे शेर कहता हूँ
मगर सब लोग कहते हैं मैं अच्छे शेर कहता हूँ
मैं पहले मतला कहता हूँ फिर आगे शेर कहता हूँ
मेरा दिल चाहता है जितने उतने शेर कहता हूँ
कोई भी हो कहीं भी हो मैं जिसको ढूँढता हूँ वो
मुझे मिल जाएगा इक दिन सो ऐसे शेर कहता हूँ
कई लोगों की मुझसे ये शिक़ायत है कि मैं उनसे
कभी जो पूछता हूँ हाल पहले शेर कहता हूँ
बहुत अच्छा नहीं हूँ मैं बस इक ये मुझमें ख़ामी है
बुरा जो मुझको कहते हैं मैं उनपे शेर कहता हूँ
मुझे कोई गिला नइँ तुम से धाँ धाँ मारते हो तुम
तुम्हें फिर क्या गिला मुझसे अगरचे शेर कहता हूँ
बताते हो सभी के सामने क्यूँ तन्ज़िया शायर
न तुम पर तंज़ कसता हूँ न तुम पे शेर कहता हूँ
मुझे भी शौक़ था मिसरों में अपनी बात कहने का
हुनर आया है जब से ये मैं तब से शेर कहता हूँ
कई लोगों को मैं यूँ भी पसंद आता नहीं हूँ क्यूँकि
मैं सच्चे शेर कहता हूँ मैं कड़वे शेर कहता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amaan mirza
our suggestion based on Amaan mirza
As you were reading Aadmi Shayari Shayari