vo kabhi thaanata kuchh bhi ho saktaa tha
aane ko raasta kuchh bhi ho saktaa tha
yaad mujh ko na koii kiya umr bhar
hichkiyon se mera kuchh bhi ho saktaa tha
qais ke haal se hai kise rabt par
vo palat dekhta kuchh bhi ho saktaa tha
ek hi shakl gham chahiye tha koii
aur vo ghazda kuchh bhi ho saktaa tha
ek tasveer ke ham sahaare jiye
aur uske siva kuchh bhi ho saktaa tha
dost baada ya aurat mayassar hamein
jo sahaara na tha kuchh bhi ho saktaa tha
वो कभी ठानता कुछ भी हो सकता था
आने को रास्ता कुछ भी हो सकता था
याद मुझ को न कोई किया उम्र भर
हिचकियों से मिरा कुछ भी हो सकता था
क़ैस के हाल से है किसे रब्त पर
वो पलट देखता कुछ भी हो सकता था
एक ही शक्ल ग़म चाहिए था कोई
और वो ग़म-ज़दा कुछ भी हो सकता था
एक तस्वीर के हम सहारे जिए
और उसके सिवा कुछ भी हो सकता था
दोस्त बादा या औरत मयस्सर हमें
जो सहारा न था कुछ भी हो सकता था
As you were reading Shayari by Muntazir shrey
our suggestion based on Muntazir shrey
As you were reading undefined Shayari