teri khoobi ke aage duniya mein kuchh bhi khoob nahin | तेरी ख़ूबी के आगे दुनिया में कुछ भी ख़ूब नहीं

  - Vikas Shah musafir

teri khoobi ke aage duniya mein kuchh bhi khoob nahin
yaani duniya mein tujhsa dooja koii mehboob nahin

ishq samandar mein marna hai mar ja lekin yaad rahe
doobna thehre paani mein bahte paani mein doob nahin

gar jhagda ho jaaye to uska usloob badal jaata
uska jhagda achha lagta hai lekin usloob nahin

ishq mein shokhi-e-taba' tabhi to achha lagta hai jaanaan
lad kar gussa jaaun tujhse tu itni maatub nahin

jo bhi aata hai is duniya mein dar dar thokar khaata hai
teri banaai is duniya ka main pehla mazoob nahin

तेरी ख़ूबी के आगे दुनिया में कुछ भी ख़ूब नहीं
यानी दुनिया में तुझसा दूजा कोई महबूब नहीं

इश्क़ समंदर में मरना है मर जा लेकिन याद रहे
डूबना ठहरे पानी में बहते पानी में डूब नहीं

गर झगड़ा हो जाए तो उसका उस्लूब बदल जाता
उसका झगड़ा अच्छा लगता है लेकिन उस्लूब नहीं

इश्क़ में शोख़ी-ए-तबअ तभी तो अच्छा लगता है जानाँ
लड़ कर ग़ुस्सा जाऊँ तुझसे तू इतनी मातूब नहीं

जो भी आता है इस दुनिया में दर दर ठोकर खाता है
तेरी बनाई इस दुनिया का मैं पहला मज़रूब नहीं

  - Vikas Shah musafir

More by Vikas Shah musafir

As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir

Similar Writers

our suggestion based on Vikas Shah musafir

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari