ai udaas ladki
jahaan se roothi hui ai udaas ladki tujhe
khabar nahin tira husn o jamaal dhal raha hai
kai baras se badan pe wahi dareeda libaas
tera ye chehra magar pairhan badal raha hai
nigaah se nazar aata hai muntazir hai tu
labon pe wazan-e-gohar gard-e-raah khayalon par
agar kabhi koii jo guftagoo kare tumse
to hogi ibtida aur intiha sawaalon par
tere mizaaj mein ye khaamoshi na thi pehle
main jaanta hoon ki iska taveel silsila hai
tamashbeen koii bhi qayaas kar lega
ye kam sukhun kisi gham mein zaroor mubtila hai
umeed-e-yaar mein bujhti hui ye chashm-e-tar
isi gumaan mein tu kab talak jalaayegi
bhula ke dehr tu jin saaton mein khoi hai
na kat sakengi magar umr beet jaayegi
saraab-e-naqsh is ummeed ke mita do tum
main shehr-e-khwaab ke khaakon mein rang bhar doonga
main jaanta hoon ki mushkil hai par tu meri taraf
qadam badha main tumhein phir haseen kar doonga
ऐ उदास लड़की
जहाॅं से रूठी हुई ऐ उदास लड़की तुझे
ख़बर नहीं तिरा हुस्न ओ जमाल ढल रहा है
कई बरस से बदन पे वही दरीदा लिबास
तेरा ये चेहरा मगर पैरहन बदल रहा है
निगाह से नज़र आता है मुंतज़िर है तू
लबों पे वज़्न-ए-गोहर गर्द-ए-राह ख़्यालों पर
अगर कभी कोई जो गुफ़्तगू करे तुमसे
तो होगी इब्तिदा और इंतिहा सवालों पर
तेरे मिज़ाज में ये ख़ामोशी न थी पहले
मैं जानता हूॅं कि इसका तवील सिलसिला है
तमाशबीन कोई भी क़यास कर लेगा
ये कम सुख़न किसी ग़म में ज़रूर मुब्तिला है
उमीद-ए-यार में बुझती हुई ये चश्म-ए-तर
इसी गुमान में तू कब तलक जलाएगी
भुला के दहर तू जिन साअतों में खोई है
न कट सकेंगी मगर उम्र बीत जाएगी
सराब-ए-नक़्श इस उम्मीद के मिटा दो तुम
मैं शहर-ए-ख़्वाब के ख़ाकों में रंग भर दूॅंगा
मैं जानता हूॅं कि मुश्किल है पर तू मेरी तरफ़
क़दम बढ़ा मैं तुम्हें फिर हसीन कर दूँगा
As you were reading Shayari by Naaz ishq
our suggestion based on Naaz ishq
As you were reading undefined Shayari