tashveesh | "तशवीश"

  - Naaz ishq

tashveesh

mujh ko ye dar hai ki shaayad
ye sab kuchh sach ho jaayega
aaj ka din nikla hai jaise
yoon kal ka bhi nikal jaayega
phir dheere-dheere kya hoga

meri saalon kii mehnat par
ye qismat paani pherengi
main alhad-pan se nikalunga
aur zimmedaari gheregi
college khatm ho jaayega
phir naukri karunga main
aur das pandrah hazaar ke khaatir
din aur raat marunga main

din daftar mein jaayega aur raat khayaalon mein jaayegi
phir is soch mein din niklengay apni baari aayegi

magar nahin aayegi
ik itwaar. zaroor aayega
chh din baad kahin jaakar ke
ek maheene kii tankhwaah
ik hafta mein khatm
phir door-door tak nahin dikhhenge
naaz ghazal aur nazm
shauq dabaata jaaunga
farz nibhaata jaaunga
phir dheere-dheere kya hoga

shaadi kii baatein hongi
din daftar mein jaayega
saath kisi ke raatein hongi
jo shaakh-e-umeed pakad ke baitha hoon
ye bhi ik din jal jaayegi
phir dheere-dheere kya hoga

naaz jawaani dhal jaayegi
mujhko kuchh karna tha
mujhko kuchh banna tha
magar nahin kar paaya main

baaki sab to kar lenge kuchh
apna hi rah jaayega
ye duniya ghoomne ka sapna
sapna hi rah jaayega
phir har roz pashemaan ho ke
main beeti baatein sochunga
aur khud ko kosunga

ye bhi kiya ja saktaa tha
vo bhi kiya ja saktaa tha
yoon zindagi guzaar di hai
khul ke jiya ja saktaa tha
aur phir apni nazm padunga
umr nikalti jaayegi
maut ka khauf rahega
phir dheere-dheere kya hoga

ik din in sab se tang aake
main shaayad khud-kushi karunga
sher likha hoga deewar-o-dar par
ek bahut achha sa

lagta hai har roz yahi
ik aisa din bhi aayega
mujh ko ye dar hai ki shaayad
ye sab kuchh sach ho jaayega

"तशवीश"

मुझ को ये डर है कि शायद
ये सब कुछ सच हो जाएगा
आज का दिन निकला है जैसे
यूॅं कल का भी निकल जाएगा
फिर धीरे-धीरे क्या होगा

मेरी सालों की मेहनत पर
ये क़िस्मत पानी फेरेगी
मैं अल्हड़-पन से निकलूॅंगा
और ज़िम्मेदारी घेरेगी
कॉलेज ख़त्म हो जाएगा
फिर नौकरी करूॅंगा मैं
और दस पंद्रह हज़ार के ख़ातिर
दिन और रात मरूॅंगा मैं

दिन दफ़्तर में जाएगा और रात ख़यालों में जाएगी
फिर इस सोच में दिन निकलेंगे अपनी बारी आएगी

मगर नहीं आएगी
इक इतवार ज़रूर आएगा
छह दिन बाद कहीं जाकर के
एक महीने की तनख़्वाह
इक हफ़्ते में ख़त्म
फिर दूर-दूर तक नहीं दिखेंगे
नाज़ ग़ज़ल और नज़्म
शौक़ दबाता जाऊॅंगा
फ़र्ज़ निभाता जाऊॅंगा
फिर धीरे-धीरे क्या होगा

शादी की बातें होंगी
दिन दफ़्तर में जाएगा
साथ किसी के रातें होंगी
जो शाख-ए-उम्मीद पकड़ के बैठा हूॅं
ये भी इक दिन जल जाएगी
फिर धीरे-धीरे क्या होगा

नाज़ जवानी ढल जाएगी
मुझको कुछ करना था
मुझको कुछ बनना था
मगर नहीं कर पाया मैं

बाक़ी सब तो कर लेंगे कुछ
अपना ही रह जाएगा
ये दुनिया घूमने का सपना
सपना ही रह जाएगा
फिर हर रोज़ पशेमाँ हो के
मैं बीती बातें सोचूॅंगा
और ख़ुद को कोसूॅंगा

ये भी किया जा सकता था
वो भी किया जा सकता था
यूॅं ज़िन्दगी गुज़ार दी है
खुल के जिया जा सकता था
और फिर अपनी नज़्म पढूॅंगा
उम्र निकलती जाएगी
मौत का ख़ौफ़ रहेगा
फिर धीरे-धीरे क्या होगा

इक दिन इन सब से तंग आके
मैं शायद ख़ुद-कुशी करूॅंगा
शेर लिखा होगा दीवार-ओ-दर पर
एक बहुत अच्छा सा

लगता है हर रोज़ यही
इक ऐसा दिन भी आएगा
मुझ को ये डर है कि शायद
ये सब कुछ सच हो जाएगा

  - Naaz ishq

More by Naaz ishq

As you were reading Shayari by Naaz ishq

Similar Writers

our suggestion based on Naaz ishq

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari