main chaahunga aisa manzar dik jaaye
tere mere sabke andar dik jaaye
vo sab apne honge to bhi darna mat
gar un ke haathon mein khanjar dik jaaye
meri nazaron se dekho to mumkin hai
zarre zarre mein bhi antar dik jaaye
dil ke registaan mein baitho kab koi
jadoo-vadoo jantar-mantar dik jaaye
मैं चाहूँगा ऐसा मंज़र दिख जाए
तेरे मेरे सबके अंदर दिख जाए
वो सब अपने होंगे तो भी डरना मत
गर उन के हाथों में ख़ंजर दिख जाए
मेरी नज़रों से देखो तो मुमकिन है
ज़र्रे ज़र्रे में भी अंतर दिख जाए
दिल के रेगिस्तां में बैठो कब कोई
जादू-वादू ,जंतर-मंतर दिख जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nikhil Tiwari 'Nazeel'
our suggestion based on Nikhil Tiwari 'Nazeel'
As you were reading Nazara Shayari Shayari