ham aasmaan pe aankhon se naqsha banaate hain | हम आसमाँ पे आँखों से नक़्शा बनाते हैं - Chetan Verma

ham aasmaan pe aankhon se naqsha banaate hain
in baadlon pe apna gharaunda banaate hain

rahti nahin hain raaz yahan baatein ishq kii
so dariya mein sanam tira chehra banaate hain

jab dil nahin lage mera din ke ujaalon mein
teri chunar lapet andhera banaate hain

bas jism kii hi taak mein rahte jo log vo
fanda banaate hain kabhi pinjra banaate hain

tu bhi gham-e-hayaat ka hai maara aur main bhi
chal ishq chhod dard ka rishta banaate hain

hamdardi kii na rakh koii ummeed logon se
shaadaab junglon ko ye sehra banaate hain

हम आसमाँ पे आँखों से नक़्शा बनाते हैं
इन बादलों पे अपना घरौंदा बनाते हैं

रहती नहीं हैं राज़ यहाँ बातें इश्क़ की
सो दरिया में सनम तिरा चेहरा बनाते हैं

जब दिल नहीं लगे मिरा दिन के उजालों में
तेरी चुनर लपेट अँधेरा बनाते हैं

बस जिस्म की ही ताक में रहते जो लोग वो
फंदा बनाते हैं कभी पिंजरा बनाते हैं

तू भी ग़म-ए-हयात का है मारा और मैं भी
चल इश्क़ छोड़ दर्द का रिश्ता बनाते हैं

हमदर्दी की न रख कोई उम्मीद लोगों से
शादाब जंगलों को ये सहरा बनाते हैं

- Chetan Verma
2 Likes

More by Chetan Verma

As you were reading Shayari by Chetan Verma

Similar Writers

our suggestion based on Chetan Verma

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari