har samay har ghadi nahin milti
honthon par ye hasi nahin milti
ham bhi shaamil hain badnaseebo mein
hamse bhi khudkushi nahin milti
saath qismat bhi chahiye thodi
padh ke bas naukri nahin milti
ik dafa umr beet jaaye gar
phir dobaara kabhi nahin milti
deejie waqt thoda khud ko bhi
baad mein zindagi nahin milti
ab kahaan vo junoon dikhta hai
ab vo deewaangi nahin milti
vo muhabbat jo karti hai bas maa
sab jagah dekh li nahin milti
main jise chahta hoon shiddat se
yaar mujhko wahi nahin milti
jitni mehnat main karta hoon mujhko
utni bhi salary nahin milti
haq ameeron ka hi hai kya is pe
kyun mujhe ye khushi nahin milti
raaj ko mil gai thi tab simran
dev ko anjali nahin milti
ik muhabbat ne chhodaa hai mujhko
varna ye shaayari nahin milti
हर समय हर घड़ी नहीं मिलती
होंठों पर ये हँसी नहीं मिलती
हम भी शामिल हैं बदनसीबों में
हमसे भी ख़ुदकुशी नहीं मिलती
साथ क़िस्मत भी चाहिए थोड़ी
पढ़ के बस नौकरी नहीं मिलती
इक दफ़ा उम्र बीत जाए गर
फिर दुबारा कभी नहीं मिलती
दीजिए वक़्त थोड़ा ख़ुद को भी
बाद में ज़िंदगी नहीं मिलती
अब कहाँ वो जुनून दिखता है
अब वो दीवानगी नहीं मिलती
वो मुहब्बत जो करती है बस माँ
सब जगह देख ली नहीं मिलती
मैं जिसे चाहता हूँ शिद्दत से
यार मुझको वही नहीं मिलती
जितनी मेहनत मैं करता हूँ मुझको
उतनी भी सैलरी नहीं मिलती
हक़ अमीरों का ही है क्या इस पे
क्यूँ मुझे ये ख़ुशी नहीं मिलती
राज को मिल गई थी तब सिमरन
देव को अंजली नहीं मिलती
इक मुहब्बत ने छोड़ा है मुझको
वरना ये शाइरी नहीं मिलती
As you were reading Shayari by Avijit Aman
our suggestion based on Avijit Aman
As you were reading undefined Shayari