kati to zindagi meri hai kuchh aisi m'aani mein | कटी तो ज़िंदगी मेरी है कुछ ऐसी म'आनी में

  - Priyanshu Gautam

kati to zindagi meri hai kuchh aisi m'aani mein
ki jaise ho koi kashti samandar ke sunaami mein

jinhonne khud nahin naapi hai gehraai samandar ki
wahi hamko bataate hain ki ham kitne hain paani mein

vo jo ik shakhs tha ab vo bhi haathon se hai ja nikla
kati thi zindagi meri to bas jiski ghulaami mein

na daulat aur ye shohrat zara bhi kaam aayengi
na jaane kis liye bhaage hain ham apni jawaani mein

karega haq ki baatein jo gareebo ki,हुकूमत se
phansa degi hukoomat unko to resha-davaani mein

कटी तो ज़िंदगी मेरी है कुछ ऐसी म'आनी में
कि जैसे हो कोई कश्ती समंदर के सुनामी में

जिन्होंने ख़ुद नहीं नापी है गहराई समंदर की
वही हमको बताते हैं कि हम कितने हैं पानी में

वो जो इक शख़्स था अब वो भी हाथों से है जा निकला
कटी थी ज़िंदगी मेरी तो बस जिसकी ग़ुलामी में

न दौलत और ये शोहरत ज़रा भी काम आएँगी
न जाने किस लिए भागे हैं हम अपनी जवानी में

करेगा हक़ की बातें जो गऱीबों की,हुकूमत से
फँसा देगी हुकूमत उनको तो रेशा-दवानी में

  - Priyanshu Gautam

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Priyanshu Gautam

As you were reading Shayari by Priyanshu Gautam

Similar Writers

our suggestion based on Priyanshu Gautam

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari