ham thak chuke the aap ke jhoothe jahaan mein | हम थक चुके थे आप के झूठे जहान में - Rehan Mirza

ham thak chuke the aap ke jhoothe jahaan mein
to so rahe hain chain se apne makaan mein

murjhaaye se jo rahte the shaadaab ho gaye
titli ne jaane kya kaha phoolon ke kaan mein

joohee gulaab champa chameli bhi hai magar
rutba tumhaara ooncha hai is khaandaan mein

koi suhn-shnaas inhen bhi khareed le
kuch sher taang rakhe hain apni dukaan mein

apne haseen labon se vo yun bolta hai jhooth
jaise ki zehar de raha ho meethe paan mein

lehje mein in ke waisi mahak aati hi nahin
ye phool laakh bol len teri zubaan mein

हम थक चुके थे आप के झूठे जहान में
तो सो रहे हैं चैन से अपने मकान में

मुरझाए से जो रहते थे शादाब हो गए
तितली ने जाने क्या कहा फूलों के कान में

जूही, गुलाब, चम्पा, चमेली भी है मगर
रुतबा तुम्हारा ऊँचा है इस ख़ानदान में

कोई सुख़न-शनास इन्हें भी ख़रीद ले
कुछ शेर टाँग रक्खे हैं अपनी दुकान में

अपने हसीं लबों से वो यूँ बोलता है झूठ
जैसे कि ज़हर दे रहा हो मीठे पान में

लहजे में इन के वैसी महक आती ही नहीं
ये फूल लाख बोल लें तेरी ज़ुबान में

- Rehan Mirza
4 Likes

Jhooth Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rehan Mirza

As you were reading Shayari by Rehan Mirza

Similar Writers

our suggestion based on Rehan Mirza

Similar Moods

As you were reading Jhooth Shayari Shayari