latk chuka tha main tum se bichhad ke pankhe par
uthaya aa ke mujhe shaayri ne kaandhe par
kabhi jo poore ke poore chaman ka maalik tha
usi ne kar liya samjhauta ek gamle par
ye raah-e-ishq zara bhi sahal nahin hoti
main chal raha hoon bahut hi maheen dhaage par
yahan jo rahna hai chehre badalna seekho phir
yahan guzaara nahin hoga ek chehre par
tamaam umr vo sheeshon se door bhaagega
hamaara khoon laga dena jaj ke maathe par
sahaara us ko budhaape mein beti ne bakhsha
ghuroor tha jise apne jawaan bete par
लटक चुका था मैं तुम से बिछड़ के पँखे पर
उठाया आ के मुझे शाइरी ने काँधे पर
कभी जो पूरे के पूरे चमन का मालिक था
उसी ने कर लिया समझौता एक गमले पर
ये राह-ए-इश्क़ ज़रा भी सहल नहीं होती
मैं चल रहा हूँ बहुत ही महीन धागे पर
यहाँ जो रहना है चेहरे बदलना सीखो फिर
यहाँ गुज़ारा नहीं होगा एक चेहरे पर
तमाम उम्र वो शीशों से दूर भागेगा
हमारा ख़ून लगा देना जज के माथे पर
सहारा उस को बुढ़ापे में बेटी ने बख़्शा
ग़ुरूर था जिसे अपने जवान बेटे पर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rehan Mirza
our suggestion based on Rehan Mirza
As you were reading Khuddari Shayari Shayari