jitne hothon se ye jaati jaayegi
baat hai ye utni hi badli jaayegi
zindagi pehle jaisi hoti jaayegi
jaise jaise umr ye dhalti jaayegi
zindagi mein vo hai yun jaise sehra mein ped
ped bhi vo jiski pooja ki jaayegi
sab lage use karne mein yaad aur mujhko
ye lagta hai yaad hai aa hi jaayegi
ye kah khud ko har raaste pe mod liya
jo hoga so hoga dekhi jaayegi
vo aaya hai rahne ko ab dekho tum
ghar se sabse pehle udaasi jaayegi
makdi ka ghar dekh yahi socha main ne
ghar mein ghar bana liya maari jaayegi
meri shaadi ke din mere alaava ek
ladki ghar se roti roti jaayegi
maine usko apne paas bithaaya hai
dekho jeb meri bhi kaatee jaayegi
जितने होठों से ये जाती जाएगी
बात है ये उतनी ही बदली जाएगी
ज़िंदगी पहले जैसी होती जाएगी
जैसे जैसे उम्र ये ढ़लती जाएगी
ज़ीस्त में वो है यूँ जैसे सहरा में पेड़
पेड़ भी वो जिसकी पूजा की जाएगी
सब लगे उसे करने में याद और मुझको
ये लगता है याद है आ ही जाएगी
ये कह ख़ुद को हर रस्ते पे मोड़ लिया
जो होगा सो होगा देखी जाएगी
वो आया है रहने को अब देखो तुम
घर से सबसे पहले उदासी जाएगी
मकड़ी का घर देख यही सोचा मैं ने
घर में घर बना लिया मारी जाएगी
मेरी शादी के दिन मेरे अलावा एक
लड़की घर से रोती रोती जाएगी
मैने उसको अपने पास बिठाया है
देखो जेब मेरी भी काटी जाएगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saahir
our suggestion based on Saahir
As you were reading Ibaadat Shayari Shayari