vo thi tab hote the kitne achhe khaase phool | वो थी तब होते थे कितने अच्छे ख़ासे फूल

  - Saahir

vo thi tab hote the kitne achhe khaase phool
uske baad mein dekho kaise hain murjhaaye phool

cigaretteon zaamon ne to ab daaman thaama hai
ek zamaane mein in haathon mein hote the phool

kaante bhi achhe lagte gar vo dete khushboo
aur in phoolon se hoti nafrat jo chubhte phool

chhod diya hai jungle ko jab se maine dekho
nahin lage un pedon par fir pehle jaise phool

ik aisi duniya ban sakti hai kya jismein ho
ye sab ladki kaante aur banen sab ladke phool

umr ka har ik padaav kuchh yoon dekha hai maine
dekhe hain maine ugte khilte aur jhadte phool

apne gaanv baith kar soch raha tha main ye sab
kaun khareedega ab us shahri aurat ke phool

वो थी तब होते थे कितने अच्छे ख़ासे फूल
उसके बाद में देखो कैसे हैं मुरझाए फूल

सिगरेटों ज़ामों ने तो अब दामन थामा है
एक ज़माने में इन हाथों में होते थे फूल

कांटे भी अच्छे लगते ग़र वो देते ख़ुशबू
और इन फूलों से होती नफ़रत जो चुभते फूल

छोड़ दिया है जंगल को जब से मैने देखो
नहीं लगे उन पेड़ों पर फ़िर पहले जैसे फूल

इक ऐसी दुनिया बन सकती है क्या जिसमें हो
ये सब लड़की कांटे और बनें सब लड़के फूल

उम्र का हर इक पड़ाव कुछ यूं देखा है मैने
देखे हैं मैने उगते खिलते और झड़ते फूल

अपने गांव बैठ कर सोच रहा था मैं ये सब
कौन ख़रीदेगा अब उस शहरी औरत के फूल

  - Saahir

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saahir

As you were reading Shayari by Saahir

Similar Writers

our suggestion based on Saahir

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari