kisi or koi bhi jaal ab nahin hai
nigaahon ka unki kamaal ab nahin hai
tumhein to meri jaan mohabbat thi mujh se
bichhadne ka kyun phir malaal ab nahin hai
jawaan ek boodhe se hanskar ye bola
hua kya jo khun mein ubaal ab nahin hai
hatheli pe rakhte the ham jaan apni
magar dillagi ka sawaal ab nahin hai
mujhe rang chadhta nahin ab kisi ka
tere paas bhi vo gulaal ab nahin hai
किसी ओर कोई भी जाल अब नहीं है
निगाहों का उनकी कमाल अब नहीं है
तुम्हें तो मेरी जाँ मोहब्बत थी मुझ से
बिछड़ने का क्यूँ फिर मलाल अब नहीं है
जवान एक बूढ़े से हँसकर ये बोला
हुआ क्या जो ख़ूँ में उबाल अब नहीं है
हथेली पे रखते थे हम जान अपनी
मगर दिल्लगी का सवाल अब नहीं है
मुझे रंग चढ़ता नहीं अब किसी का
तेरे पास भी वो गुलाल अब नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rohit tewatia 'Ishq'
our suggestion based on Rohit tewatia 'Ishq'
As you were reading Dillagi Shayari Shayari