mard ke maanind to mazboot khwaahan main nahin hoon | मर्द के मानिंद तो मज़बूत ख़्वाहाँ मैं नहीं हूॅं

  - Rubal

mard ke maanind to mazboot khwaahan main nahin hoon
kah diya lo aaj maine mard yaksaan main nahin hoon

garm rakhna pet sabka sard rakh ehsaas saare
narm dil khaatoon hoon par garm-joshaan main nahin hoon

hai badlne mein laga saara jahaan mujh ko bhala kyoon
main yagaana ek zan hoon mard par jaan main nahin hoon

ye kaha kisne mujhe pee kii nahin hai ab zaroorat
hoon abhi kam umr par ai yaar naadaan main nahin hoon

main khuda kii khoobsurat sirf khilqat is jahaan mein
zindagi kii zindagi hoon baaz pashaan main nahin hoon

ilm mere ishq ka bhi hai adavat kii khabar bhi
khauf mere bood ka hai is se hairaan main nahin hoon

mard hai maahir badlne mein nigaahen waqt pe par
main nigaahen loon badal bisyaar rooyaan main nahin hoon

मर्द के मानिंद तो मज़बूत ख़्वाहाँ मैं नहीं हूॅं
कह दिया लो आज मैंने मर्द यकसाँ मैं नहीं हूॅं

गर्म रखना पेट सबका सर्द रख एहसास सारे
नर्म दिल ख़ातून हूॅं पर गर्म-जोशाँ मैं नहीं हूॅं

है बदलने में लगा सारा जहाँ मुझ को भला क्यूॅं
मैं यगाना एक ज़न हूॅं मर्द पर जाँ मैं नहीं हूॅं

ये कहा किसने मुझे पी की नहीं है अब ज़रूरत
हूॅं अभी कम उम्र पर ऐ यार नादाँ मैं नहीं हूॅं

मैं ख़ुदा की खूबसूरत सिर्फ़ ख़िल्कत इस जहाँ में
ज़िंदगी की ज़िंदगी हूॅं बाज़ पाशाँ मैं नहीं हूॅं

इल्म मेरे इश्क़ का भी है अदावत की ख़बर भी
ख़ौफ़ मेरे बूद का है इस से हैराँ मैं नहीं हूॅं

मर्द है माहिर बदलने में निगाहें वक़्त पे पर
मैं निगाहें लूँ बदल बिस्यार रूयाँ मैं नहीं हूॅं

  - Rubal

More by Rubal

As you were reading Shayari by Rubal

Similar Writers

our suggestion based on Rubal

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari