din ye dhlate ja rahe hain shaam ke ho rang jaise
kuchh suhaataa hi nahin hai be-sure aahang jaise
jism mein halchal nahin hai aankh mein seelan nahin hai
nabz hai khaamosh maano dil me koi jang jaise
goonj meri cheekh ki sunta khuda hoga yaqeenan
dard hai ab is qadar katata mera ho ang jaise
hai nahin hamdard koi haal pooche jo mera ab
dost hai koi nahin ab sog hai bas sang jaise
hain kiye saare jatan hamne ki ab aaraam ho bas
raas ab aati nahin ye zindagi hai jang jaise
दिन ये ढ़लते जा रहे हैं शाम के हो रंग जैसे
कुछ सुहाता ही नहीं है बे-सुरे आहंग जैसे
जिस्म में हलचल नहीं है आँख में सीलन नहीं है
नब्ज़ है ख़ामोश मानो दिल मे कोई जंग जैसे
गूॅंज मेरी चीख़ की सुनता ख़ुदा होगा यक़ीनन
दर्द है अब इस क़दर कटता मिरा हो अंग जैसे
है नहीं हमदर्द कोई हाल पूछे जो मिरा अब
दोस्त है कोई नहीं अब सोग है बस संग जैसे
हैं किए सारे जतन हमने कि अब आराम हो बस
रास अब आती नहीं ये ज़िंदगी है जंग जैसे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rubal
our suggestion based on Rubal
As you were reading Aankhein Shayari Shayari