kaisa niraala faisla is baar maine kar liya | कैसा निराला फ़ैसला इस बार मैंने कर लिया

  - Rubal

kaisa niraala faisla is baar maine kar liya
samaan apni maut ka aaghosh mein yoon bhar liya

hai ishq bhi behad use par saath deta bhi nahin
bas sog saari umr ka maine ye apne sar liya

baanhon mein yoon kasta mujhe jaise mera hi baab ho
ho jo alag to yun lage bas cheen kar dil dhar liya

main bhi gila ye soch kar bas yaar se karti nahin
naaraz ho jaaye na vo yoon ibtila jo gar liya

maine use di rooh apni aur dhokha kha gai
zinda use saunpa badan badle mein bas pinjar liya

कैसा निराला फ़ैसला इस बार मैंने कर लिया
सामान अपनी मौत का आग़ोश में यूॅं भर लिया

है इश्क़ भी बेहद उसे पर साथ देता भी नहीं
बस सोग सारी उम्र का मैंने ये अपने सर लिया

बाँहों में यूॅं कसता मुझे जैसे मिरा ही बाब हो
हो जो अलग तो यूँ लगे बस छीन कर दिल धर लिया

मैं भी गिला ये सोच कर बस यार से करती नहीं
नाराज़ हो जाए न वो यूॅं इब्तिला जो गर लिया

मैंने उसे दी रूह अपनी और धोखा खा गई
ज़िन्दा उसे सौंपा बदन बदले में बस पिंजर लिया

  - Rubal

Justice Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rubal

As you were reading Shayari by Rubal

Similar Writers

our suggestion based on Rubal

Similar Moods

As you were reading Justice Shayari Shayari