aaya khyaal dil mein jab jab bhi khudkushi ka | आया ख़्याल दिल में जब जब भी ख़ुदकुशी का - Saif Dehlvi

aaya khyaal dil mein jab jab bhi khudkushi ka
yaad aa gaya hai chehra tab tab hamein kisi ka

marna to is jahaan mein aasaan ho gaya hai
jeena hua hai mushkil duniya mein aadmi ka

sab ranj-o-gham bhi gum the jab mere saath tum the
vo daur tha hamaara kitna hansi khushi ka

kaisi hai ye mohabbat kaisi divaangi hai
jo ho saka na mera main ho gaya usi ka

paagal to ho gaya hai lekin tera deewana
bhoola nahin thikaana ab tak teri gali ka

naaraz hone waale tu ab to muskuraa de
har kaam kar raha hoon ab main teri khushi ka

jab apna dil dukha hai ehsaas tab hua hai
ab dil nahin dukhaana ham ko kabhi kisi ka

nam ho gai hain aankhen tar ho gaya hai daaman
ehsaas jab hua hai ham ko teri kami ka

us din se dard-e-dil ko aaraam mil gaya kuchh
jis din se ham ne daaman thaama hai shayari ka

roti ko yaad karna paani se pet bharna
dekha hai saif ham ne vo daur muflisi ka

आया ख़्याल दिल में जब जब भी ख़ुदकुशी का
याद आ गया है चेहरा तब तब हमें किसी का

मरना तो इस जहाँ में आसान हो गया है
जीना हुआ है मुश्किल दुनिया में आदमी का

सब रंज-ओ-ग़म भी गुम थे जब मेरे साथ तुम थे
वो दौर था हमारा कितना हॅंसी ख़ुशी का

कैसी है ये मोहब्बत कैसी दिवानगी है
जो हो सका न मेरा मैं हो गया उसी का

पागल तो हो गया है लेकिन तेरा दिवाना
भूला नहीं ठिकाना अब तक तेरी गली का

नाराज़ होने वाले तू अब तो मुस्कुरा दे
हर काम कर रहा हूँ अब मैं तेरी ख़ुशी का

जब अपना दिल दुखा है एहसास तब हुआ है
अब दिल नहीं दुखाना हम को कभी किसी का

नम हो गई हैं आँखें तर हो गया है दामन
एहसास जब हुआ है हम को तेरी कमी का

उस दिन से दर्द-ए-दिल को आराम मिल गया कुछ
जिस दिन से हम ने दामन थामा है शायरी का

रोटी को याद करना पानी से पेट भरना
देखा है सैफ़ हम ने वो दौर मुफ़लिसी का

- Saif Dehlvi
2 Likes

More by Saif Dehlvi

As you were reading Shayari by Saif Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Saif Dehlvi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari