ham ne to kah diya ye hamaara khyaal hai
tum bhi kaho jo dil mein tumhaare sawaal hai
ye baat kahte kahte kai saal ho gaye
us ke baghair ab mera jeena muhaal hai
tum hi nahin udaas ho kul kaayenaat mein
sab ke dilon mein koii na koii malaal hai
har shakhs padh raha hai khushi se meri ghazal
meri ghazal mein aapka husn-o-jamaal hai
paaya hai maine jo mujhe uski khushi nahin
khoya hai maine jo mujhe uska malaal hai
aise bhi log hain jinhen roti nahin naseeb
aise bhi hain ki jinke liye sheermaal hai
jee chahta hai le ke use bhaag jaaun main
ai saif uska baap magar kotwaal hai
हम ने तो कह दिया ये हमारा ख़्याल है
तुम भी कहो जो दिल में तुम्हारे सवाल है
ये बात कहते कहते कई साल हो गए
उस के बग़ैर अब मिरा जीना मुहाल है
तुम ही नहीं उदास हो कुल काएनात में
सब के दिलों में कोई न कोई मलाल है
हर शख़्स पढ़ रहा है ख़ुशी से मेरी ग़ज़ल
मेरी ग़ज़ल में आपका हुस्न-ओ-जमाल है
पाया है मैंने जो मुझे उसकी ख़ुशी नहीं
खोया है मैंने जो मुझे उसका मलाल है
ऐसे भी लोग हैं जिन्हें रोटी नहीं नसीब
ऐसे भी हैं कि जिनके लिए शीरमाल है
जी चाहता है ले के उसे भाग जाऊँ मैं
ऐ सैफ़ उसका बाप मगर कोतवाल है
As you were reading Shayari by Saif Dehlvi
our suggestion based on Saif Dehlvi
As you were reading undefined Shayari