jo utar aayi hai dil mein teri hi tasveer hai
rang tera hi hai is mein teri hi wafaat hai
meherbaan hai ye kisi par aur kisi se hai khafa
shokh hai ye manchali hai kehne ko taqdeer hai
baarha main laut aata hoon bhatak kar apne ghar
lipti mere paanv se ghar kii koii zanjeer hai
kya iraada kar liya hai maarne aur marne ka
saaf dikhta hai tumhaare haath mein shamsheer hai
is jahaan ko jang ka maidaan bana baithe ho kyun
kyun gumaan ye hai ki duniya aap kii jaageer hai
जो उतर आई है दिल में तेरी ही तस्वीर है
रंग तेरा ही है इस में तेरी ही तफ़्सीर है
मेहरबाँ है ये किसी पर और किसी से है ख़फ़ा
शोख़ है ये मनचली है कहने को तक़दीर है
बारहा मैं लौट आता हूँ भटक कर अपने घर
लिपटी मेरे पाँव से घर की कोई ज़ंजीर है
क्या इरादा कर लिया है मारने और मरने का
साफ़ दिखता है तुम्हारे हाथ में शमशीर है
इस जहाँ को जंग का मैदाँ बना बैठे हो क्यों
क्यों गुमाँ ये है कि दुनिया आप की जागीर है
As you were reading Shayari by Sanjay Bhat
our suggestion based on Sanjay Bhat
As you were reading undefined Shayari