naarazgi hazaar ho us bewafa ke saath
lekin hai ishq phir bhi usi dil-ruba ke saath
qaasid na pooch aaj meri bebaasi ka haal
aayi thi zindagi mujhe milne qaza ke saath
bas isliye aziz hai baad-e-saba hamein
aati hai uski yaad bhi baad-e-saba ke saath
yun hi nahin giri hai mere aashiyaan pe barq
saazish hui hai abr ki kuchh to hawa ke saath
gar jaante ki ishq thehar jaayega gunaah
hargiz na dil lagaate kisi paarsa ke saath
mushtaaq phir chale ho usi may-kade ko tum
shaayad ki phir mile ham usi aashna ke saath
नाराज़गी हज़ार हो उस बेवफ़ा के साथ
लेकिन है इश्क़ फिर भी उसी दिल-रुबा के साथ
क़ासिद न पूछ आज मेरी बेबसी का हाल
आई थी ज़िंदगी मुझे मिलने क़ज़ा के साथ
बस इसलिए अज़ीज़ है बाद-ए-सबा हमें
आती है उसकी याद भी बाद-ए-सबा के साथ
यूँ ही नहीं गिरी है मेरे आशियाँ पे बर्क़
साज़िश हुई है अब्र की कुछ तो हवा के साथ
गर जानते कि इश्क़ ठहर जाएगा गुनाह
हरगिज़ न दिल लगाते किसी पारसा के साथ
मुश्ताक़ फिर चले हो उसी मय-कदे को तुम
शायद कि फिर मिले हम उसी आश्ना के साथ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saqlain Mushtaque
our suggestion based on Saqlain Mushtaque
As you were reading Dost Shayari Shayari