chahe duniya mein miyaan do-chaar se baatein karo
jab karo bas saahib-e-kirdaar se baatein karo
khushiyon ki mehfil se khushiyon se tumhein kya faayda
ghazamzada ho jaao tum gham-khwaar se baatein karo
lutf sheerindaar lehje ka agar darkaar hai
to chalo waiz hamaare yaar se baatein karo
gar tarqqi-yaab hone ki tamannaa hai tumhein
doston phir waqt ki raftaar se baatein karo
qaid-khaane mein shajar tanhaai ne mujhse kaha
ab andheron se dar-o-deewar se baatein karo
चाहे दुनिया में मियाँ दो-चार से बातें करो
जब करो बस साहिब-ए-किरदार से बातें करो
ख़ुशियों की महफ़िल से ख़ुशियों से तुम्हें क्या फ़ायदा
ग़मज़दा हो जाओ तुम ग़म-ख़्वार से बातें करो
लुत्फ़ शीरींदार लहजे का अगर दरकार है
तो चलो वाइज़ हमारे यार से बातें करो
गर तरक़्क़ी-याब होने की तमन्ना है तुम्हें
दोस्तों फिर वक़्त की रफ़्तार से बातें करो
क़ैद-ख़ाने में शजर तन्हाई ने मुझसे कहा
अब अँधेरों से दर-ओ-दीवार से बातें करो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Jashn Shayari Shayari