chehre ki taraf uske agar dekh raha hoon
to lagta hai jaise main qamar dekh raha hoon
koi nahin darta hai haqeeqat mein khuda se
baaton mein mahaj sabke mein dar dekh raha hoon
haq baat kare jo use sooli pe chadha do
shaaya ye risaalon mein khabar dekh raha hoon
ho khair tere baagh ki ai baagh ke maali
main khaar pe phoolon ka thehar dekh raha hoon
jo tan se juda ho ke hai masroof-e-ibaadat
neze ki bulandi pe vo sar dekh raha hoon
dil le gaya ye kah ke vo anjaan hamaara
main aapko bas ek nazar dekh raha hoon
lagta hai bahut roya hai tu yaad mein uski
paushaaq teri khoon mein tar dekh raha hoon
aata hai mahaj mujhko nazar chehra tumhaara
main qalb ki basti mein jidhar dekh raha hoon
sar rakha hai pahluu main mere aapka dilbar
main khwaab ye har shaam-o-sehar dekh raha hoon
chhaaya-o-samar deta hai jo saare jahaan ko
vo dhoop mein tanhaa main shajar dekh raha hoon
चेहरे की तरफ़ उसके अगर देख रहा हूँ
तो लगता है जैसे मैं क़मर देख रहा हूँ
कोई नहीं डरता है हक़ीक़त में ख़ुदा से
बातों में महज़ सबके में डर देख रहा हूँ
हक़ बात करे जो उसे सूली पे चढ़ा दो
शाया ये रिसालों में ख़बर देख रहा हूँ
हो ख़ैर तेरे बाग़ की ऐ बाग़ के माली
मैं ख़ार पे फूलों का ठहर देख रहा हूँ
जो तन से जुदा हो के है मसरूफ़-ए-इबादत
नेज़े की बुलंदी पे वो सर देख रहा हूँ
दिल ले गया ये कह के वो अनजान हमारा
मैं आपको बस एक नज़र देख रहा हूँ
लगता है बहुत रोया है तू याद में उसकी
पौशाक़ तेरी ख़ून में तर देख रहा हूँ
आता है महज़ मुझको नज़र चेहरा तुम्हारा
मैं क़ल्ब की बस्ती में जिधर देख रहा हूँ
सर रक्खा है पहलू मैं मेरे आपका दिलबर
मैं ख़्वाब ये हर शाम-ओ-सहर देख रहा हूँ
छाया-ओ-समर देता है जो सारे जहाँ को
वो धूप में तन्हा मैं शजर देख रहा हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Sach Shayari Shayari