jab bhi kabhi asiroon ki cheekhen nikal padeen
to dafatan shareefon ki cheekhen nikal padeen
karbobala mein shauq-e-shahaadat ko dekhkar
khanjar ki aur teeron ki cheekhen nikal padeen
jab ye suna ke shaam ka bazaar aa gaya
ghairat se sab asiroon ki cheekhen nikal padeen
itne the zakham dil pe teri be wafaai ke
dil dekhkar tabeebon ki cheekhen nikal padeen
jab dosh par saveroon ke rakha gham-e-hayaat
be-saakhta saveroon ki cheekhen nikal padeen
hamne jab apne khoon se raushan kiye charaagh
to zulm ke safeeron ki cheekhen nikal padeen
jab khushk hont hamne rakhe mauj-e-bahr par
sharm-o-haya se maujon ki cheekhen nikal padeen
ik phool ke labon pe tabassum ko dekhkar
gulshan mein saare khaaron ki cheekhen nikal padeen
jab jab bhi be wafaon ne zikr-e-wafa kiya
to sun ke baa zameeron ki cheekhen nikal padeen
paanv ke chaale kaanton ke seenon pe jab rakhe
to dard-dukh se kaanton ki cheekhen nikal padeen
jab shor ye hua ke shajar kaat deejie
gulshan mein sab parindon ki cheekhen nikal padeen
जब भी कभी असीरों की चीख़ें निकल पड़ीं
तो दफ़अतन शरीफ़ों की चीख़ें निकल पड़ीं
करबोबला में शौक़-ए-शहादत को देखकर
ख़ंजर की और तीरों की चीख़ें निकल पड़ीं
जब ये सुना के शाम का बाज़ार आ गया
ग़ैरत से सब असीरों की चीख़ें निकल पड़ीं
इतने थे ज़ख़्म दिल पे तेरी बे वफ़ाई के
दिल देखकर तबीबों की चीख़ें निकल पड़ीं
जब दोश पर सवेरों के रक्खा ग़म-ए-हयात
बे-साख़्ता सवेरों की चीख़ें निकल पड़ीं
हमने जब अपने ख़ून से रौशन किए चराग़
तो ज़ुल्म के सफ़ीरों की चीख़ें निकल पड़ीं
जब ख़ुश्क होंठ हमने रखे मौज-ए-बहर पर
शर्म-ओ-हया से मौजों की चीख़ें निकल पड़ीं
इक फूल के लबों पे तबस्सुम को देखकर
गुलशन में सारे ख़ारों की चीख़ें निकल पड़ीं
जब जब भी बे वफ़ाओं ने ज़िक्र-ए-वफ़ा किया
तो सुन के बा ज़मीरों की चीख़ें निकल पड़ीं
पाँव के छाले काँटों के सीनों पे जब रखे
तो दर्द-दुख से काँटों की चीख़ें निकल पड़ीं
जब शोर ये हुआ के शजर काट दीजिए
गुलशन में सब परिंदों की चीख़ें निकल पड़ीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Ghamand Shayari Shayari