ye nujoomi ne bataaya khwaab ki taabeer mein | ये नुजूमी ने बताया ख़्वाब की ताबीर में

  - Shajar Abbas

ye nujoomi ne bataaya khwaab ki taabeer mein
ranj-o-gham ruswaai furqat hai meri taqdeer mein

dekhkar tasveer ko kahte hain ye ahl-e-nazar
kitne pyaare lag rahe hain dono ek tasveer mein

qais deta phir raha hai dasht mein dekho sada
dil mera uljha hua hai ishq ki zanjeer mein

kam jo kar paaye tabassum asghar-e-maasoom ka
itni taqat hi kahaan hain hurmala ke teer mein

kya kahoon main ab kalaam-e-meer ko padh kar shajar
dard-e-dil hi dard-e-dil hai bas kalaam-e-meer mein

ये नुजूमी ने बताया ख़्वाब की ताबीर में
रंज-ओ-ग़म रुसवाई फ़ुर्क़त है मेरी तक़दीर में

देखकर तस्वीर को कहते हैं ये अहल-ए-नज़र
कितने प्यारे लग रहे हैं दोनों एक तस्वीर में

क़ैस देता फिर रहा है दश्त में देखो सदा
दिल मेरा उलझा हुआ है इश्क़ की ज़ंजीर में

कम जो कर पाए तबस्सुम असग़र-ए-मासूम का
इतनी ताक़त ही कहाँ हैं हुर्मला के तीर में

क्या कहूँ मैं अब कलाम-ए-मीर को पढ़ कर शजर
दर्द-ए-दिल ही दर्द-ए-दिल है बस कलाम-ए-मीर में

  - Shajar Abbas

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari