dil uska har ghadi yaaron chaman mein lagta tha
vo phool jaisi thi to titliyon se rishta tha
theen aankhen sharbatee qad uska thoda chhota tha
gulaabi rang tha aur sheerin daar lahja tha
siyaah zulfen thi kaali ghataon ke jaisi
falak ke chaand numa murshid uska chehra tha
lab uske lagte the do pyaari titliyon ki tarah
labon pe uske tabassum hamesha rehta tha
vo apna sar mere pahluu mein la ke rakhti thi
main uski reshmi zulfen sanwaara karta tha
use kitaabon se be-intihaa mohabbat thi
kitaab khaane mein usko qaraar milta tha
दिल उसका हर घड़ी यारों चमन में लगता था
वो फूल जैसी थी तो तितलियों से रिश्ता था
थीं आँखें शरबती क़द उसका थोड़ा छोटा था
गुलाबी रंग था और शीरीं दार लहजा था
सियाह जुल्फें थी काली घटाओं के जैसी
फ़लक के चाँद नुमा मुर्शिद उसका चेहरा था
लब उसके लगते थे दो प्यारी तितलियों की तरह
लबों पे उसके तबस्सुम हमेशा रहता था
वो अपना सर मेरे पहलू में ला के रखती थी
मैं उसकी रेशमी ज़ुल्फें सँवारा करता था
उसे किताबों से बे-इन्तिहा मोहब्बत थी
किताब ख़ाने में उसको क़रार मिलता था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Muskurahat Shayari Shayari