hain tazkire ka sabab sahebaan mein zulfen | हैं तज़किरे का सबब साहेबान में ज़ुल्फ़ें

  - Shajar Abbas

hain tazkire ka sabab sahebaan mein zulfen
teri sanwaarūga main itminaan mein zulfen

hain jis tarah mere hamsaaye ki suno yaaron
nahin hain aisi kisi ki jahaan mein zulfen

sawaal aaya tha kya hai sabab ghataon ka
main likh ke aa gaya bas imtihaan mein zulfen

jo bosa deke gai thi hamaare chehre par
haan ab talak hain musalsal vo dhyaan mein zulfen

hoon rab se mahv-e-dua mere dilnashi ki sada
shajar khuda rakhe hifz-o-amaan mein zulfen

हैं तज़किरे का सबब साहेबान में ज़ुल्फ़ें
तेरी सँवारूगा मैं इत्मिनान में ज़ुल्फ़ें

हैं जिस तरह मेरे हमसाए की सुनो यारों
नहीं हैं ऐसी किसी की जहान में ज़ुल्फ़ें

सवाल आया था क्या है सबब घटाओं का
मैं लिख के आ गया बस इम्तिहान में ज़ुल्फ़ें

जो बोसा देके गई थी हमारे चेहरे पर
हाँ अब तलक हैं मुसलसल वो ध्यान में ज़ुल्फ़ें

हूँ रब से महव-ए-दुआ मेरे दिलनशी की सदा
शजर ख़ुदा रखे हिफ्ज़-ओ-अमान में ज़ुल्फ़ें

  - Shajar Abbas

Shajar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Shajar Shayari Shayari