is baar ye kehna nahin | इस बार ये कहना नहीं

  - Shajar Abbas

is baar ye kehna nahin
uska ye naqsh-e-paa nahin

vo ishq ka maara nahin
jo raat mein jaaga nahin

chal chhod chaahat us ki dil
vo baa khuda achha nahin

hai gham hamein is baat ka
us ne hamein dekha nahin

is do jahaan mein baa khuda
koi sanam tujh sa nahin

jo sochta hoon main sada
vo to kabhi hota nahin

seene mein dil roya bahut
par main kabhi roya nahin

haan hamne vo sab sun liya
jo aapne bola nahin

vo gul bada hai khush nasab
jo shaakh se toota nahin

sab pyaas se tadpa kiye
baadal magar barsa nahin

main is udaasi ka shajar
matlab kabhi samjha nahin

chhota sa shayar hoon shajar
main meer ya mirza nahin

इस बार ये कहना नहीं
उसका ये नक़्श-ए-पा नहीं

वो इश्क़ का मारा नहीं
जो रात में जागा नहीं

चल छोड़ चाहत उस की दिल
वो बा ख़ुदा अच्छा नहीं

है ग़म हमें इस बात का
उस ने हमें देखा नहीं

इस दो जहाँ में बा ख़ुदा
कोई सनम तुझ सा नहीं

जो सोचता हूँ मैं सदा
वो तो कभी होता नहीं

सीने में दिल रोया बहुत
पर मैं कभी रोया नहीं

हाँ हमने वो सब सुन लिया
जो आपने बोला नहीं

वो गुल बड़ा है ख़ुश नसब
जो शाख़ से टूटा नहीं

सब प्यास से तड़पा किए
बादल मगर बरसा नहीं

मैं इस उदासी का शजर
मतलब कभी समझा नहीं

छोटा सा शायर हूँ शजर
मैं मीर या मिर्ज़ा नहीं

  - Shajar Abbas

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari