ishq ka shehar phir aabaad karunga yaaron | इश्क़ का शहर फिर आबाद करूँगा यारों

  - Shajar Abbas

ishq ka shehar phir aabaad karunga yaaron
khud ko main ishq mein farhaad karunga yaaron

ye jo ilhaad zamaane pe hua hai taari
door duniya se ye ilhaad karunga yaaron

ishq ki qaid mein dam ghutne laga hai dil ka
dil ko is qaid se azaad karunga yaaron

qais ki tarz pe ek roz mohabbat mein suno
main bhi sehraa koi aabaad karunga yaaron

dekhne waale mujhe dekhte rah jaayenge
khud ko is tarah se barbaad karunga yaaron

khoon thukegi dehan se vo har ek hichki par
itni shiddat se use yaad karunga yaaron

parcham-e-ishq ko lehraaunga basti basti
aur manzar ko main naushaad karunga yaaron

nisbat-e-ishqi ko sar shaar chadhaane ke liye
khatm ye beech se ab aad karunga yaaron

vaada karta hoon shajar ki tarah gazlen likhkar
dil-e-naashaad ko main shaad karunga yaaron

इश्क़ का शहर फिर आबाद करूँगा यारों
ख़ुद को मैं इश्क़ में फ़रहाद करूँगा यारों

ये जो इल्हाद ज़माने पे हुआ है तारी
दूर दुनिया से ये इल्हाद करूँगा यारों

इश्क़ की क़ैद में दम घुटने लगा है दिल का
दिल को इस क़ैद से आज़ाद करूँगा यारों

क़ैस की तर्ज़ पे एक रोज़ मोहब्बत में सुनो
मैं भी सेहरा कोई आबाद करूँगा यारों

देखने वाले मुझे देखते रह जाएँगे
ख़ुद को इस तरह से बर्बाद करूँगा यारों

ख़ून थूकेगी दहन से वो हर एक हिचकी पर
इतनी शिद्दत से उसे याद करूँगा यारों

परचम-ए-इश्क़ को लहराऊँगा बस्ती बस्ती
और मंज़र को मैं नौशाद करूँगा यारों

निस्बत-ए-इश्की को सर शार चढ़ाने के लिए
ख़त्म ये बीच से अब आद करूँगा यारों

वादा करता हूँ शजर की तरह गज़लें लिखकर
दिल-ए-नाशाद को मैं शाद करूँगा यारों

  - Shajar Abbas

Sazaa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Sazaa Shayari Shayari