jisko phoolon se mohabbat shayari se ishq hai | जिसको फूलों से मोहब्बत शायरी से इश्क़ है

  - Shajar Abbas

jisko phoolon se mohabbat shayari se ishq hai
mujhko is duniya mein bas us aadmi se ishq hai

jaise bhanware ko chaman mein ik kali se ishq hai
vaise hi mujhko jahaan ki ik pari se ishq hai

hai kisi se mujhko mujhse aur kisi ko ishq hai
mujhko jisse ishq hai usko kisi se ishq hai

koo-e-jaanaan jannat-ul-firdaus se kamtar nahin
isliye wa'iz mujhe uski gali se ishq hai

maut ki cheekhen nikalne lag gaeein ye jaan kar
zindagi ko mujhse mujhko zindagi se ishq hai

kislie saahil pe jaakar baithe ho shaam ko
isliye saahib hamein ik jal-paree se ishq hai

khauf jiski dushmani ka khaate hain ahl-e-jahaan
dekhiye hamko usi ki dushmani se ishq hai

duniya waale raushni se ishq karte hain shajar
aur ik ham hain ke hamko teergi se ishq hai

जिसको फूलों से मोहब्बत शायरी से इश्क़ है
मुझको इस दुनिया में बस उस आदमी से इश्क़ है

जैसे भँवरे को चमन में इक कली से इश्क़ है
वैसे ही मुझको जहाँ की इक परी से इश्क़ है

है किसी से मुझको मुझसे और किसी को इश्क़ है
मुझको जिससे इश्क़ है उसको किसी से इश्क़ है

कू-ए-जानाँ जन्नत-उल-फ़िरदौस से कमतर नहीं
इसलिए वा'इज़ मुझे उसकी गली से इश्क़ है

मौत की चीखें निकलने लग गईं ये जान कर
ज़िंदगी को मुझसे मुझको ज़िंदगी से इश्क़ है

किसलिए साहिल पे जाकर बैठते हो शाम को
इसलिए साहिब हमें इक जल-परी से इश्क़ है

ख़ौफ़ जिसकी दुश्मनी का खाते हैं अहल-ए-जहाँ
देखिए हमको उसी की दुश्मनी से इश्क़ है

दुनिया वाले रौशनी से इश्क़ करते हैं शजर
और इक हम हैं के हमको तीरगी से इश्क़ है

  - Shajar Abbas

Dushman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Dushman Shayari Shayari