khuda se bahr-e-khuda kar bahut udaas hoon main | ख़ुदा से बहर-ए-ख़ुदा कर बहुत उदास हूँ मैं

  - Shajar Abbas

khuda se bahr-e-khuda kar bahut udaas hoon main
tu mere haq mein dua kar bahut udaas hoon main

labon pe shikwa saja kar bahut udaas hoon main
ye subah shaam sana kar bahut udaas hoon main

na khush ho mujhko haraa kar bahut udaas hoon main
tu iski kuchh to haya kar bahut udaas hoon main

sukoon-o-chain se rehta tha roz sehra mein
aur ab ye basti basa kar bahut udaas hoon main

dil-o-dimaagh mein rahte tha vo main hansta tha
par ab shajar ko bhula kar bahut udaas hoon main

nahin hain baat pe meri agar yaqeen tumhein
to khud hi dekh lo aa kar bahut udaas hoon main

tum ab se pehle mere seene mein dhadakte the
ye baat sab ko bata kar bahut udaas hoon main

vo is jahaan mein jahaan bhi hon ab palat aaye
saba bata use jaakar bahut udaas hoon main

hamesha zulfen meri tum banaya karte the
khud apni zulfen bana kar bahut udaas hoon main

kaha qafas mein parinde ne ye parinde se
khabar rihaai ki paakar bahut udaas hoon main

qasam khuda ki kalaaee se haan shajar zaidi
tumhaara naam mita kar bahut udaas hoon main

ख़ुदा से बहर-ए-ख़ुदा कर बहुत उदास हूँ मैं
तू मेरे हक़ में दुआ कर बहुत उदास हूँ मैं

लबों पे शिकवा सजा कर बहुत उदास हूँ मैं
ये सुबह शाम सना कर बहुत उदास हूँ मैं

न ख़ुश हो मुझको हरा कर बहुत उदास हूँ मैं
तू इसकी कुछ तो हया कर बहुत उदास हूँ मैं

सुकून-ओ-चैन से रहता था रोज़ सहरा में
और अब ये बस्ती बसा कर बहुत उदास हूँ मैं

दिल-ओ-दिमाग़ में रहते था वो मैं हँसता था
पर अब शजर को भुला कर बहुत उदास हूँ मैं

नहीं हैं बात पे मेरी अगर यक़ीन तुम्हें
तो ख़ुद ही देख लो आ कर बहुत उदास हूँ मैं

तुम अब से पहले मेरे सीने में धड़कते थे
ये बात सब को बता कर बहुत उदास हूँ मैं

वो इस जहाँ में जहाँ भी हों अब पलट आए
सबा बता उसे जाकर बहुत उदास हूँ मैं

हमेशा ज़ुल्फ़ें मेरी तुम बनाया करते थे
ख़ुद अपनी ज़ुल्फ़ें बना कर बहुत उदास हूँ मैं

कहा क़फ़स में परिंदे ने ये परिंदे से
ख़बर रिहाई की पाकर बहुत उदास हूँ मैं

क़सम ख़ुदा की कलाई से हाँ शजर ज़ैदी
तुम्हारा नाम मिटा कर बहुत उदास हूँ मैं

  - Shajar Abbas

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari