kisi ke khauf mein aakar jo kaam karte hain
vo kaam karte hain lekin haraam karte hain
o pyaari ladki hamein aapse mohabbat hai
ye kahke ishq ki hujjat tamaam karte hain
kabhi qaza nahin karte hain is ibadat ko
tumhaara zikr har ik subh-o-shaam karte hain
hamaari nazaron mein jo phool se bhi naazuk hain
vo talkh lehje mein hamse kalaam karte hain
mohabbat ek ibadat hai isko karte raho
ye baat chaliye zamaane mein aam karte hain
ho tum hayaat abhi tak firaq-e-yaar ke baad
tumhaare hausale ko ham salaam karte hain
ye ishq vishq suno apne bas ki baat nahin
chalo miyaan chalo kuchh aur kaam karte hain
tum uska naam na lo apni bad zabaan se yaar
ham uske naam ka bhi ehteraam karte hain
vo aaj hamse mulaqaat karne aayenge
shajar utho chalo kuchh intizaam karte hain
tapish hai tashna-labi hai ye raahrau ne kaha
shajar ki chaanv mein chalkar qayaam karte hain
किसी के ख़ौफ़ में आकर जो काम करते हैं
वो काम करते हैं लेकिन हराम करते हैं
ओ प्यारी लड़की हमें आपसे मोहब्बत है
ये कहके इश्क़ की हुज्जत तमाम करते हैं
कभी क़ज़ा नहीं करते हैं इस इबादत को
तुम्हारा ज़िक्र हर इक सुब्ह-ओ-शाम करते हैं
हमारी नज़रों में जो फूल से भी नाज़ुक हैं
वो तल्ख़ लहजे में हमसे कलाम करते हैं
मोहब्बत एक इबादत है इसको करते रहो
ये बात चलिए ज़माने में आम करते हैं
हो तुम हयात अभी तक फ़िराक़-ए-यार के बाद
तुम्हारे हौसले को हम सलाम करते हैं
ये इश्क़ विश्क़ सुनो अपने बस की बात नहीं
चलो मियाँ चलो कुछ और काम करते हैं
तुम उसका नाम न लो अपनी बद ज़बान से यार
हम उसके नाम का भी एहतराम करते हैं
वो आज हमसे मुलाक़ात करने आएँगे
शजर उठो चलो कुछ इंतिज़ाम करते हैं
तपिश है तश्ना-लबी है ये राहरौ ने कहा
शजर की छाँव में चलकर क़याम करते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Urdu Shayari Shayari