saamne duniya ke gar majboor hote jaayenge
rafta rafta dekhna ham door hote jaayenge
ai mere hamdam yaqeenan aapke jaane ke baad
saare manzar shehar ke be-noor hote jaayenge
thokre khaati phiregi dar-b-dar insaaniyat
log jab daulat pe sab maghroor hote jaayenge
muskuraakar aap jitne faisley denge huzoor
aapke sab faisley manzoor hote jaayenge
सामने दुनिया के गर मजबूर होते जाएँगे
रफ़्ता रफ़्ता देखना हम दूर होते जाएँगे
ऐ मिरे हमदम यक़ीनन आपके जाने के बाद
सारे मंज़र शहर के बे-नूर होते जाएँगे
ठोकरे खाती फिरेगी दर-ब-दर इंसानियत
लोग जब दौलत पे सब मग़रूर होते जाएँगे
मुस्कुराकर आप जितने फ़ैसले देंगे हुज़ूर
आपके सब फ़ैसले मंज़ूर होते जाएँगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Deedar Shayari Shayari