larz rahe hain mere hont ye bataate hue | लरज़ रहे हैं मेरे होंठ ये बताते हुए

  - Shajar Abbas

larz rahe hain mere hont ye bataate hue
main jal gaya hoon kisi jism ko bujhaate hue

ye baat soch ke aa jaati hai labon pe hasi
tu mujh se rooth gaya tha mujhe manaate hue

khuda ke vaaste tasveer kheench lena meri
agar kahi main nazar aaun muskuraate hue

khayal maine rakha hai khayal tera bahut
khayal rakhna hamesha khayal jaate hue

lahu se bhar gaye gulshan mein dono haath mere
kisi gulaab ki aankhon se khar hataate hue

vo itna toot gaya tha kisi ki furqat mein
ki ro raha tha mujhe dastaan sunaate hue

lahu se apne jalaya hai maine haq ka diya
saba khayal ye karna diya bujhaate hue

hamaare haathon pe taari hai larza aaj talak
tumhaare haath nahin kaanpe zulm dhhaate hue

ye ranj-o-gham sabhi qismat ka ek baab hai kya
jahaan se jaaunga shaayad inhen uthaate hue

hain jab se khwaabon ki veeraan bastiyaan ye shajar
ye khwaab darte hain aankhon mein ghar banaate hue

tamaam duniya ye taarikh mein padhegi shajar
mitaane waale mujhe mit gaye mitaate hue

लरज़ रहे हैं मेरे होंठ ये बताते हुए
मैं जल गया हूँ किसी जिस्म को बुझाते हुए

ये बात सोच के आ जाती है लबों पे हँसी
तू मुझ से रूठ गया था मुझे मनाते हुए

ख़ुदा के वास्ते तस्वीर खींच लेना मेरी
अगर कहीं मैं नज़र आऊँ मुस्कुराते हुए

ख़याल मैंने रखा है ख़याल तेरा बहुत
ख़याल रखना हमेशा ख़याल जाते हुए

लहू से भर गए गुलशन में दोनों हाथ मिरे
किसी गुलाब की आँखों से खर हटाते हुए

वो इतना टूट गया था किसी की फ़ुर्क़त में
कि रो रहा था मुझे दास्ताँ सुनाते हुए

लहू से अपने जलाया है मैंने हक़ का दिया
सबा ख़याल ये करना दिया बुझाते हुए

हमारे हाथों पे तारी है लर्ज़ा आज तलक
तुम्हारे हाथ नहीं काँपे ज़ुल्म ढाते हुए

ये रंज-ओ-ग़म सभी क़िस्मत का एक बाब है क्या
जहाँ से जाऊँगा शायद इन्हें उठाते हुए

हैं जब से ख़्वाबों की वीरान बस्तियाँ ये 'शजर'
ये ख़्वाब डरते हैं आँखों में घर बनाते हुए

तमाम दुनिया ये तारीख़ में पढ़ेगी 'शजर'
मिटाने वाले मुझे मिट गए मिटाते हुए

  - Shajar Abbas

DP Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading DP Shayari Shayari