sukoon-e-qalb hai mera tabeeb ki beti
angoothi hoon main nageena tabeeb ki beti
tumhaari maangi hui sab duaaein laai rang
lo ho gaya main tumhaara tabeeb ki beti
gale laga ke mujhe apne hausla bakhsho
hoon ranj-o-gham ka main maara tabeeb ki beti
tumhaara deed kiye bin sukoon nahin milta
ye haal kyun hain hamaara tabeeb ki beti
haseen dekhe hain maine jahaan mein laakh magar
haseen tumsa na dekha tabeeb ki beti
ye chaand taare chaman sehra nadiyaan jheelein shajar
hai sabka sab tera sadqa tabeeb ki beti
tumhaare husn ka aur lehje ki nazaakat ka
hai mere yaaron mein charcha tabeeb ki beti
tumhaare shehar mein aakar ek ajnabi ki tarah
bhatk raha hoon main tanhaa tabeeb ki beti
ata jo zakham mujhe kar rahi ho hanskar tum
ye zakham kaise bharega tabeeb ki beti
ghazal hui hai mukammal tere tasavvur mein
so dil se shukriya tera tabeeb ki beti
mareez-e-ishq shajar hai ilaaj kar do tum
tadap raha hai bechaara tabeeb ki beti
सुकून-ए-क़ल्ब है मेरा तबीब की बेटी
अँगूठी हूँ मैं नगीना तबीब की बेटी
तुम्हारी माँगी हुई सब दुआएँ लाई रंग
लो हो गया मैं तुम्हारा तबीब की बेटी
गले लगा के मुझे अपने हौसला बख़्शो
हूँ रंज-ओ-ग़म का मैं मारा तबीब की बेटी
तुम्हारा दीद किए बिन सुकूँ नहीं मिलता
ये हाल क्यों हैं हमारा तबीब की बेटी
हसीन देखे हैं मैंने जहाँ में लाख मगर
हसीन तुमसा ना देखा तबीब की बेटी
ये चाँद तारे चमन सहरा नदियाँ झीलें शजर
है सबका सब तेरा सदक़ा तबीब की बेटी
तुम्हारे हुस्न का और लहजे की नज़ाकत का
है मेरे यारों में चर्चा तबीब की बेटी
तुम्हारे शहर में आकर एक अजनबी की तरह
भटक रहा हूँ मैं तन्हा तबीब की बेटी
अता जो ज़ख़्म मुझे कर रही हो हँसकर तुम
ये ज़ख़्म कैसे भरेगा तबीब की बेटी
ग़ज़ल हुई है मुक्कमल तेरे तसव्वुर में
सो दिल से शुक्रिया तेरा तबीब की बेटी
मरीज़-ए-इश्क़ शजर है इलाज कर दो तुम
तड़प रहा है बेचारा तबीब की बेटी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Environment Shayari Shayari