saamne jab hamaare aaya karo | सामने जब हमारे आया करो

  - Shajar Abbas

saamne jab hamaare aaya karo
jaan bas aap muskuraya karo

muntazir rehta hoon musalsal main
chat pe kapde sukhaane aaya karo

ghazlein likkhi hain aapki khaatir
aap duniya ko mat sunaaya karo

ho mere yaar tum pe laazim hai
main jo roothoon mujhe manaaya karo

waqt aa jaaye doston pe agar
baar-e-gham saath mein uthaya karo

main tumhaara hoon meri baat suno
apni sakhiyon ko mat bataaya karo

vaada jab bhi karo kisi se suno
vaada kar ke use nibhaaya karo

main gali tak tumhaari aata hoon
tum bhi khidki pe apni aaya karo

ishq mein pad ke nau jawaanon suno
zindagi ko mat apni zaaya karo

aap to deen shanaas ho hamdam
baa rida ho ke ghar se aaya karo

husn ki maalika ghareebon ko
husn ka deed to karaya karo

tum zulekha ho daure haazir ki
ye haqeeqat hai maan jaaya karo

सामने जब हमारे आया करो
जान बस आप मुस्कुराया करो

मुंतज़िर रहता हूँ मुसलसल मैं
छत पे कपड़े सुखाने आया करो

ग़ज़लें लिक्खी हैं आपकी ख़ातिर
आप दुनिया को मत सुनाया करो

हो मेरे यार तुम पे लाज़िम है
मैं जो रूठूँ मुझे मनाया करो

वक़्त आ जाए दोस्तों पे अगर
बार-ए-ग़म साथ में उठाया करो

मैं तुम्हारा हूँ मेरी बात सुनो
अपनी सखियों को मत बताया करो

वादा जब भी करो किसी से सुनो
वादा कर के उसे निभाया करो

मैं गली तक तुम्हारी आता हूँ
तुम भी खिड़की पे अपनी आया करो

इश्क में पड़ के नौ जवानों सुनो
ज़िंदगी को मत अपनी ज़ाया करो

आप तो दीं शनास हो हमदम
बा रिदा हो के घर से आया करो

हुस्न की मालिका ग़रीबों को
हुस्न का दीद तो कराया करो

तुम ज़ुलेख़ा हो दौरे हाज़िर की
ये हक़ीक़त है मान जाया करो

  - Shajar Abbas

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari