soona soona dekh mere ghar ka dastar-khwaan hai | सूना सूना देख मेरे घर का दस्तर-ख़्वान है

  - Shajar Abbas

soona soona dekh mere ghar ka dastar-khwaan hai
isko ab darkaar tere haath ka pakwaan hai

jaan atki thi kisi tote mein jaise shah ki
is tarah atki hui tujhmein hamaari jaan hai

lad rahi ho doston se tum hamaare vaaste
baavli ladki ye hi to ishq ki pehchaan hai

is qadar naasaaz haalat hai teri furqat ke baad
dekhkar haalaat mere har koi hairaan hai

tujhko seene se lagaakar choomun peshaani teri
jaan-e-man ye aakhiri dil mein mere armaan hai

सूना सूना देख मेरे घर का दस्तर-ख़्वान है
इसको अब दरकार तेरे हाथ का पकवान है

जान अटकी थी किसी तोते में जैसे शाह की
इस तरह अटकी हुई तुझमें हमारी जान है

लड़ रही हो दोस्तों से तुम हमारे वास्ते
बावली लड़की ये ही तो इश्क़ की पहचान है

इस क़दर नासाज़ हालत है तेरी फ़ुर्क़त के बाद
देखकर हालात मेरे हर कोई हैरान है

तुझको सीने से लगाकर चूमूँ पेशानी तेरी
जान-ए-मन ये आख़िरी दिल में मेरे अरमान है

  - Shajar Abbas

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari