yaad ki daulat hai ab ta umr rone ke liye | याद की दौलत है अब ता उम्र रोने के लिए

  - Shajar Abbas

yaad ki daulat hai ab ta umr rone ke liye
ye girebaan chaak hai khun se bhigone ke liye

jab udaasi naaz se sar ko uthaane lag gai
qahqahe nikle udaasi ko dubone ke liye

hijr ke maare hue ki bebaasi to dekhiye
saans ka dhaaga mila hai gham pirone ke liye

tujhko khokar ab mujhe aisa lage hai har ghadi
paas mein ab kuchh nahin hai mere khone ke liye

ishq ke maidaan se maal-e-ghaneemat mein shajar
dard ka bistar mila hai dil ko sone ke liye

याद की दौलत है अब ता उम्र रोने के लिए
ये गिरेबाँ चाक है ख़ूँ से भिगोने के लिए

जब उदासी नाज़ से सर को उठाने लग गई
क़हक़हे निकले उदासी को डुबोने के लिए

हिज्र के मारे हुए की बेबसी तो देखिए
साँस का धागा मिला है ग़म पिरोने के लिए

तुझको खोकर अब मुझे ऐसा लगे है हर घड़ी
पास में अब कुछ नहीं है मेरे खोने के लिए

इश्क़ के मैदान से माल-ए-ग़नीमत में शजर
दर्द का बिस्तर मिला है दिल को सोने के लिए

  - Shajar Abbas

Adaa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Adaa Shayari Shayari