ghareeb-o-be-kason kii sab himayat kyun nahin karte
ghalat ko tum ghalat kehne kii jurat kyun nahin karte
agar ahl-e-jahaan zinda ho to be-khauf hokar phir
bhala zalim hukoomat kii mazammat kyun nahin karte
ग़रीब-ओ-बे-कसों की सब हिमायत क्यों नहीं करते
ग़लत को तुम ग़लत कहने की जुरअत क्यों नहीं करते
अगर अहल-ए-जहाँ ज़िंदा हो तो बे-ख़ौफ़ होकर फिर
भला ज़ालिम हुकूमत की मज़म्मत क्यों नहीं करते
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading undefined Shayari