andar kii mukhbirii ko bataane ka shauq hai
phir uske baad tujhko lubhaane ka shauq hai
mushkil hai tujhse ishq ladna agar to sun
dariya mein mujhko aag lagaane ka shauq hai
tujhko hai rashk sirf muhabbat ke naam se
patthar ko dil mujhe bhi banaane ka shauq hai
deedaar kis tarah karoon husn-o-jamaal ka
chehre se yun naqaab hataane ka shauq hai
daanish jo uske zulf mein hai khoobsurati
usmein gulaab mujhko lagaane ka shauq hai
अन्दर की मुख़बिरी को बताने का शौक़ है
फिर उसके बाद तुझको लुभाने का शौक़ है
मुश्किल है तुझसे इश्क़ लड़ाना अगर तो सुन
दरिया में मुझको आग लगाने का शौक़ है
तुझको है रश्क सिर्फ़ मुहब्बत के नाम से
पत्थर को दिल मुझे भी बनाने का शौक़ है
दीदार किस तरह करूँ हुस्न-ओ-जमाल का
चेहरे से यूँ नक़ाब हटाने का शौक़ है
'दानिश' जो उसके ज़ुल्फ़ में है ख़ूबसूरती
उसमें गुलाब मुझको लगाने का शौक़ है
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading undefined Shayari