agar vo be-wafa hai to muhabbat kar nahin saka | अगर वो बे-वफ़ा है तो मुहब्बत कर नहीं सकता

  - Shayar Danish

agar vo be-wafa hai to muhabbat kar nahin saka
tumhaare saath chalne ki vo zahmat kar nahin saka

jo khaaya hai muhabbat ki jigar par chot jee bhar ke
dobaara ishq karne ki vo himmat kar nahin saka

wahi hai mard jo sahta hai saare gham muqaddar ke
kabhi bhi yaar marne ki himaqat kar nahin saka

na jaane kyun bithaaya hai usi ko raaj gaddi par
jo apne mulk ke logon ki khidmat kar nahin saka

khuda ka khauf jiske zehan mein daanish mayassar hai
haqeeqat mein buton ki vo ibadat kar nahin saka

अगर वो बे-वफ़ा है तो मुहब्बत कर नहीं सकता
तुम्हारे साथ चलने की वो ज़हमत कर नहीं सकता

जो खाया है मुहब्बत की जिगर पर चोट जी भर के
दुबारा इश्क़ करने की वो हिम्मत कर नहीं सकता

वही है मर्द जो सहता है सारे ग़म मुक़द्दर के
कभी भी यार मरने की हिमाक़त कर नहीं सकता

न जाने क्यों बिठाया है उसी को राज गद्दी पर
जो अपने मुल्क के लोगों की ख़िदमत कर नहीं सकता

ख़ुदा का खौफ़ जिसके ज़हन में 'दानिश' मयस्सर है
हक़ीक़त में बुतों की वो इबादत कर नहीं सकता

  - Shayar Danish

Deshbhakti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shayar Danish

As you were reading Shayari by Shayar Danish

Similar Writers

our suggestion based on Shayar Danish

Similar Moods

As you were reading Deshbhakti Shayari Shayari