tere mere qareeb aane ke din hain
dilon mein aag sulgaane ke din hain
lagao dil ki itna sochna kya
abhi to bhool kar jaane ke din hain
ki mujh se door tum kyun ja rahe ho
yun jaane ke na tadpaane ke din hain
ajenda aaj mazhab ka chala kar
sabhi mein bair karwaane ke din hain
nayi si gandh faila kar fazaa mein
puraani gandh hatwaane ke din hain
abhi shaadi ke bandhan mein na baandho
hamaare naachne gaane ke din hain
ye dil bharpoor sheesha ho gaya hai
kisi patthar se takraane ke din hain
kabhi tu dard hi mujh ko ata kar
samajh ke yaar nazaane ke din hain
ki apna hausla majboot kar lo
abhi to thokren khaane ke din hain
abhi ahad-e-junoon ka dabdaba hai
sabhi had se guzar jaane ke din hain
kabhi furqat mein shekhar roiyega
abhi to chot hi khaane ke din hain
तेरे मेरे क़रीब आने के दिन हैं
दिलों में आग सुलगाने के दिन हैं
लगाओ दिल कि इतना सोचना क्या
अभी तो भूल कर जाने के दिन हैं
कि मुझ से दूर तुम क्यूँ जा रहे हो
यूँ जाने के न तड़पाने के दिन हैं
अजेंडा आज मज़हब का चला कर
सभी में बैर करवाने के दिन हैं
नई सी गंध फैला कर फ़ज़ा में
पुरानी गंध हटवाने के दिन हैं
अभी शादी के बंधन में न बांँधो
हमारे नाचने गाने के दिन हैं
ये दिल भरपूर शीशा हो गया है
किसी पत्थर से टकराने के दिन हैं
कभी तू दर्द ही मुझ को अता कर
समझ के यार नज़राने के दिन हैं
कि अपना हौसला मजबूत कर लो
अभी तो ठोकरें खाने के दिन हैं
अभी अहद-ए-जुनूँ का दबदबा है
सभी हद से गुज़र जाने के दिन हैं
कभी फुर्क़त में "शेखर" रोइएगा
अभी तो चोट ही खाने के दिन हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by shaan manral
our suggestion based on shaan manral
As you were reading Mazhab Shayari Shayari