ik azaad si titli ke man jaisi tu | इक आज़ाद सी तितली के मन जैसी तू

  - SHIV SAFAR

ik azaad si titli ke man jaisi tu
umr ki har dahleez pe bachpan jaisi tu

jisko sun ke soi raatein jag jaaye
dulhan ke ghunghroo ki chan chan jaisi tu

soorat aisi hai jaise ho neel gagan
na-ummeedi mein bhi jeevan jaisi tu

suraj jisko choo ke chaand sa ban jaaye
sach much mein us chandan ke tan jaisi tu

jis ik rupaye mein bachpan ki khushiyaan thi
jeb mein un sikko ki khan khan jaisi tu

इक आज़ाद सी तितली के मन जैसी तू
उम्र की हर दहलीज़ पे बचपन जैसी तू

जिसको सुन के सोई रातें जग जाए
दुल्हन के घुँघरू की छन छन जैसी तू

सूरत ऐसी है जैसे हो नील गगन
ना-उम्मीदी में भी जीवन जैसी तू

सूरज जिसको छू के चाँद सा बन जाए
सच मुच में उस चंदन के तन जैसी तू

जिस इक रुपए में बचपन की खुशियाँ थी
जेब में उन सिक्कों की खन खन जैसी तू

  - SHIV SAFAR

Sooraj Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SHIV SAFAR

As you were reading Shayari by SHIV SAFAR

Similar Writers

our suggestion based on SHIV SAFAR

Similar Moods

As you were reading Sooraj Shayari Shayari